death_is_not_far said:
YAhi wo ikhtalaf hai jo Musalmano ko do garohon main bant deeta hai...
Quote
Ye hai Wo baat jis par bakhs ka ghaaz ho ga ... main ye sabit karny ki koshish karon ga kay peghanmabr Maal ko wirsy main deety hain aur leety hain.......
Quote
Mairy Dalail....
Daleel No: 1
Agar Anmbiya meeras na leety hain aur na choorty hain to Quran main Hazrat DAood aur Sulimaan ki wirasat sy moorad kiya hai
Quran aik aur maqam par surat Maryam ki pehli ayaat main waziha irshaad farmata hai kay zakriya (ra) Allah tala sy aik waris ka mutaba kar rahy hain .... Shahid aap ka jawab ye ho kay wo Ilm kay liyee waris maang rahy thy to ayat is baat ko jutla rahi hai kyon k ayat main waziha hai kay unhein apny Jahil rishty daron sy dar tha.... Zahri baat hai ye dar maal ka hi ho sakta hai na kay Ilm ka..
Sab se pehlay mai Surah Mariam ki Ayatoon ka tarjuma type karoonga takay sab ke liye clear ho jaye. Uske baad aapke dalael par comments donga.
19:1 Kaf. Ha. Ya. 'Ain. Sad
19:02: Ye tumharay Rub ki meherbani ka zikr hai, jo usne apne banday Zakariya (as) par ki thi.
19:03: Jab Zakariya ne apne Rub ko aahista aahista pukara
19:04: Kaha! aye meray Rub, meri haddiyan burhapay ke sabab kamzor ho gai hain, aur sar mai safaidi phel gai hai, aur aye meray Rub! aap se mang kar kabhi mehroom nahi raha
19:05: Aur main apne peechay apne rishtaydaaron se khauf khata hoon, aur meri biwi baanjh hai, tu mujhe apne paas se aik waris aa'ta farma
19:06: Jo mera aur Yaqoob (as) ka Waris banay, aur aye meray Rub, usko khush atwar bana
Ab aapki ye daleel ke hadhrat Zakariya (as) ne Allah swt se waris Maal o Daulaat ki rakhwali ke liye manga tha bilkul baudi hai keunke:
1. Koi bhi naik insaan jisay Allah aur uske deen se muhabbat ho woh duniyavi cheezon ke parwa nahi karta balkay usay Zikr-e-Allah se hi fursat nahi milti to aisa kaisay ho sakta hai ke woh Maal o daulaat ki parwa karay? Jab koi aam sa naik aadmi Maal o daulaat ki parwa nahi karta to phir Zakariya (as) to nabi thay aur unke liye aisa samajhna ke unhai deen ke bajaye dunyavi zarooriyat ki hifazat ke liye waris chahiye tha to ye aik tarhan ki insult ho gai Nabi ki.
Sheikh Mujahid, Qatadah aur As-Suddi sab is baat par muttafiq hain ke Hadhrat Zakariya (as) ko apne rishtaydaaron se jo dar tha woh ye tha ke woh aur unke bachay aur aanay wali generations Kharab aur fasid hogi isliye unhonay Allah swt se dua mangi thi ke Allah unko aik betay se nawazain jo ke naik aur Saleh hoon aur unke logon ke liye hidayat ka rasta hoon. Unhai maal o daulaat ka dar nahi tha keunke aik nabi ka ruta bohot bara hota hai aur woh duniyavi cheezon ki parwa nahi kartay.
2. Doosra point ye ke Hadhrat Zakariya (as) ka pesha Carpentary tha aur amooman is qisam ka kaam karnay walay loag zyada daulaat mand nahi huwa kartay balkay tamam Ambiya (as) ka ye shuar raha hai ke woh bohot saa'da zindagi guzara kartay thay aur unke pas jo maal o daulaat hota bhi tha to usko bhi doosroon mai bant diya kartay thay. To aap bataiye ke hadhrat Zakariya (as) ke pas kahan se jaidaad aa gai thi jiske liye woh aik waris chahtay thay?
3. Teesra point ye ke Arabi zabaan ka lafz al-irth (inheritance) ka sirf duniyavi cheezon ki wirasat se matlab nahi hai balkay iska aik istemaal Ilm, Nabuwat, aur Hukoomat ke bhi hain. Misal ke taur pe Surah Fatir ki Ayat # 34 main Allah swt farmatay hain ke: Phir humne un logon ko Kitab ka Waris banaya jinko apne bandon mein se bargazeeda kiya... Aur iske elawa Surah Mominoon ki Ayat # 9-11 mai Allah tala farmatay hain ke: Aur jo apni namazon ki pabandi kartay hain to aisay loag waris honay walay hain jo jannat-ul-firdaus ke waris hongay.
Quote
Agar Anmbiya meeras leety hi nahin to mujy ye batyee kay Hazrat Um-e-Eman jo NAbi(saw) ki loondi thein aur RAsool(saw) kay Aba sy Rasool(saw) ki meeras main ayein thein ... Unhein NAbi(saw) ny meeras main kyon liyaa
Mujhe aapki baat samajh nahi aai. Pehlay to is cheez ka hawala dijiye uske baad bataye ke is baat ka Nabi ke jaidaad ke waris chorne se kya taluq hai?
Quote
Agar waqi Amnbiya na meeras leety hain aur na deety hain to mujy ye batya jay kay Nabi(saw) ki biwiyan jin gharon main mukeem thein wo ghar Kis kay Thay Khar Koi Janta hai kay wo Ghar Nabi(saw) kay hi thy to kiya aap batein gay kay jab Fatima (ra) sy FAdk cheen liya gya to Biwiyon sy kyon na cheena gya kiya aysaa karny sy kahein un ki apni hi beetiyon sy gharon kay chin jany ki baat to samny nahin thi Kiya is sy Apny uqraba sy mukhabt aur Akhly Beet sy kholoo adawat jahir nahin hooti
Nabi saws ki biviyoon ko who ghar wirsay mai nahi milay thay balkay who wahan rehti thin keunke who unke ghar thay aur nabi saws ki wafat ke baad bhi wohi unka thikana raha tha. Aapki bongi daleel se hargiz bhi Ahle bait ke liye kisi ki adaawat sabit nahi hoti keunke jo baat hadhrat Abu baker (ra) ne hadhrat Fatima (ra) ko sunai thi woh Nabi ki hadees sunai thi apna qol nahi!
Quote
RAsool(saw) kay paas jo ghooro thy jis main sy aik ka naam murtajas bi tha wo tak Imaam Husain (as) kay paas tha wo kysaa un tak pohancha
Aapki is baat ka hawala kya hai?




Top







